*********
*********
*********
*********
*********
*********
*********
*********
Teri rahmat athhaah! Ya Allaah
Main ghariq e gunaah Ya Allaah
Dur beeni ke par bahut chhote
Saazishen, be panaah Ya Allaah
Kitni aabaad hain kamin gaahen
Lut gayi khanqaah!! Ya Allaah
Kiya kare ab tera sipah saalaaar
Dar gayi hai sipaah!! Ya Allaah
Zindagi kitni jabr hai, phir bhi
Kyon hai jine ki chaah Ya Allaah
Aansuon ki pukaar ab sun le!!
Khol bakhshish ki raah Ya Allaah
(Published)
**********~*~**********
“John alea ki zameen men”
Kucha e dilbaraaN ke the hi nahiN
Ahl us imtehaaN ke the hi nahiN
AndhiyoN ke amal dakhal me rahe
Hum kisi aashiyan ke the hi nahiN
Sah gaye rizq ke liye wo lafz !!
Jo hamari zabaN ke the hi nahiN
Chara gar se wo zakhm kya bharte
Jo adoo ki senaaN ke the hi nahiN
Jis ka anjaam khush nateejaa ho
Hum to us dastaaN ke the hi nahiN
Is tarah hum ne chhor dee duniya
Jaise pahle yahaan ke the hi nahiN
( Published )
**********~*~**********
Khush numa lafz ki sawaari bas
Shahr walon ko ek madaari bas
Ishq me aur kya hua hum se
Dhang se ki hai ashk baari bas
Ek nauras kali ka gul ban_na
Zindagi!! teri payedaari bas
Fasl e gul kaynat ki, mujh ko
Teri chahat ki aik kyaari bas
ManzileN Ghair ke liye makhsus
Apne hisse meN khabkaari bas
Ek bejaan muskurahat hai !!!!
Oonche logoN ki inkesaari bas
Aur kiyaa seekhte zamaane se
Hogaye hum bhi kaar o baari bas
(Published)
**********~*~**********
Bahte daryaa meN utar jana tha
Khaak the aur bikhar jana tha
Us se bichhRe to zamaanaa beeta
Ab talak zakhm ko bhar jana tha
Maan letaa huN tujhe hi manzil!!
Ab kahaaN yaad kidhar jana tha
Hausle ham ne bachakar rak_khe
Jab hameN had se guzar jana tha
Jaan !!! is hijr pe ronaa kaisa!!!
Ek din yuN bhi to mar jana tha
(Published)
**********~*~**********
Ek sookhaa saa shajar yaad aaya
Aaj bhulaa huaa ghar yaad aaya
ManzileN jab na muyassar aayeeN
Khushgumaani kaa safar yaad aaya
Ghar banaane ki thakan yaad aayi
Aur phir raqs e sharar yaad aaya
Uske hathoN meN kharasheN dekhiN
Tab hameN apna bhi sar yaad aaya !
Geet gaate hue logo, tum ko
Kya koi chaak jigar yaad aaya
**********~*~**********
Hawa ke hont khuleN, saa’at e kalaam to aaye
Ye ret jaisa badan, aandhiyoN ke kaam to aaye
Hamara sar na uthaaye wo apne sar se buland
Rayees shahr ko aadaab e qatl e aam to aaye
Use udaas na kar de ye meri tez ravee !!
Main abke sust chalun wo subuk kheraam to aaye
Munafeqat ki sabhi tohmateN mujhe dede
Mere tufail rafeeqoN meN tera naam to aaye
Gham e hayat, gham e rozgaar, be watani
Sakun se jo dhale koyi aisi shaam to aaye
( Published )
**********~*~**********
Abke ye ehteyaat bhi kar jaanaa chaahiye !!!
ANdhi se qabl khud hi bikhar jaanaa chaahiye
HaaN jab mujhe jamood ki tohmat hi mil gayi
To dil se bhi khayaal e safar jaanaa chaahiye
Sab raaste hisaar ke jangal me qaid haiN !!!!
Kiya faisla kareN k kidhar jaanaa chaahiiye !
Rahzan to sab kamaayaa hua maal le gaye
Ab sirf jaan leke na ghar jaanaa chaahiye !
Karte haiN be sabab hi khataayeN ma’aaf jo
Aise “khata ma’aaf” se dar jaanaa chaahiye
Kuchh faisle to honge mere ikhtiyaar ke !!!!
Aankhon se ye Ghilaaf utar jaanaa chahiye
Jab mere paas us ke liye chhat talak nahi !
Ae uski aarzoo, tujhe mar jaanaa chaahiye
( Published )
**********~*~**********
Aakhirash dil ne hi kamaal kiyaa
Uski dhaRkan se ittesaal kiyaa
Meri khush fahmiyaaN hi mujrim haiN
Tu ne kab mujh ko paayamaal kiyaa
Bhul saktaa thaa main tujhe lekin
Ghairat e ishq ka khyaal kiyaa
Aadmi, peR, saanp, sher, kunwaan
Hi chuhoN ne phir wabaal kiyaa
Aane waali rutoN se khauf aaye
Pichhli rut ne bhi paayamaal kiyaa
( Published )
**********~*~**********
Ab hai khush aur dukhi thi pahle
Wo mujhe dhunDh rahi thi pahle
Abto dukh sahke bhi hans leti haiN
Inhi aankhoN meN nami thi pahle
Mujh men utre ke wo azaad rahe
Zindagi soch rahi thi pahle
Aaj phir theek wahiN chot lagi
Jis agah chot lagi thi pahle
Ret hi ret bachi hai ab to
Ankh me aek nadi thi pahle
Shahrdarsharh ye ab raqs meN hai
Aaag jungal meN lagi thi pahle
Sochta rahta huN tanhaayi meN
Jane kis kis se bani thi pahle
**********~*~**********
Ye raat koi chal chal gayi hai
Jo neeNd bachi thi, jal gayi hai
AankhoN ka bahaao hai musalsal
Chhoti si nadii, ubal gayi hai !!
Mal’oon khezaaN ki shar pasandi
PhooloN ka badan masal gayi hai
Jis meN teri aas jaagti thi !!!!
Wo shaam rupahli dhal gayi hai
Tu jab se bani hai dil ki zeenat
Haalat hi meri badal gayi hai
Ash’aar Tapak rahe haiN paiham
Ek shaakh junuN ki phal gayi hai
**********~*~**********
Jis se milna tha mil nahi paayaa !!
Chaak daaman ka sil nahi paayaa
Kaisi barsaat hogayi abke !!!
Ek bhi phool khil nahi paayaa
Raaz afshaa karuN, are tauba
Itna kam zarf dil nahi paayaa
Chaand be daagh hai ! daleel is ki
Us ke ‘aariz pe til nahi paayaa
Saath khushiyoN ka sirf pal do pal
Dard bhi mustaqil nahi paayaa
Log hairaan horahe the bahut
Jab hameN muzmahil nahi paayaa
( Published )
**********~*~**********
Jab bhi mera ehtesaab hogaa
Sach se bahut ijtenaab hogaa
Phir band palak pe tez dastak
Jaane do, koi khaab hogaa
Kya soch ke jashn hum manayeN
Kya ab na koi azaab hogaa !!??
Hai jurm meri samaa’atoN ka
Qaul uska kyuN kharaab hogaa
HaiN ma’aaf unke qahqahe aur
AahoN kaa meri hisaab hogaa
( Published )
**********~*~**********
Gham hai ya ezteraar sa kuch hai
Yaa mujhe intezaar sa kuchh hai
Be sabab aur kaun bhatke ga
Dil hai aur be qarar sa kuch hai
Jab bhi chahun udas hojauN!
Khud pe ab ikhteyar sa kuch hai
Zindagi itni badnumaa to nahiN
Aayeene pe ghubar sa kuch hai
Ab gumaN ho raha hai manzil ka
Saamne regzaar sa kuch hai
HausloN ko abhi pata na chale
Raste me hisaar sa kuch hai !
Mere andar ki rut khezaaN jaisi
Voh mujassim bahaar sa kuchh hai
(Published)
**********~*~**********
JahaaN kharaab sahi hum, badan dareedaa sahi
Teri talaash me nikle haiN, paa bureedaa sahi
Jahaan E she’r meN meri kayee riyaasateN haiN!
MaiN apne shahr me gumnam O na shuneedaa sahi
Bhale hi chhaaoN na de, aasraa to detaa hai
Ye aarzu ka shajar hai, khazaaN raseedaa sahi
Inhi bujhi hui aankhoN me khaab utreNge
YaqiN na chhor, ye bimaar O shab gazeedaa sahi
DiloN ko joRne waali Ghazal salaamat hai
Ta’alluqaat hamaare agar kasheedaa sahi
Mere beGhair har ek daastaaN adhoori si
MaiN us kitaab me ek lafz E khat-kasheeda sahi
(Published)
**********~*~**********
Jab talak maiN rahaa, rahaa dukh bhi
Phir mere saath so gayaa, dukh bhi
Arz-E-Gham Taab-e-zabt kya laataa
Kah gaye hum Dhakaa chhupaa dukh bhi
Jashn E maqtal meN saath aa niklaa
HaaNptaa kaaNptaa huaa dukh bhi
Raat be chehragee ki nazr huyii
Warna aayeena dekhta dukh bhi
Gum the teri talaash me tinoN
Shahr tha, raastaa bhi tha, dukh bhi
**********~*~**********
Tere maqtal ki aabroo hum the
Qatl ke waqt baa-wazoo hum the
Yeh nadee ab kise bulati hai?
Pahle to is ki justajoo hum the
Apni basti ko yaad hai ke nahiN
Uski galiyoN ki haau-hu hum the
Tishnagii de rahi thi sairaabi!!
Pyaas k din kanaar e joo hum the
Apne kuchh khaab yad aane lage
Raat maazi ke ru baroo hum the
Jaane kis baat pe vo rooth gaye
Hum nawaalaa the hum sobu hum the
(Published)
**********~*~**********
Rahti thi aaNkh me jo nami khatm hogayi
Rasm-e-duaa-e- neem shabi khatm hogayi
Mere bhi jo usool the matrook hogaye
Teri kulaah se bhi kaji khatm hogayi
Ab aur zindagi ka fasana sunayeN kya
Tanha hui, udaas hui, khatm hogayi
Boseedgi ka husn mere dar pe chha gaya
Phir dastakoN ki daad rasi khatm hogayi
Sehn e chaman meN kaun subuk gaam aagaya
Baad E sabaa ki tez ravi khatm hogayi
Pichhli rutoN ki chaanv ne us ko bulaa liya
Ek mukhtasar si hamsafari khatm hogayi
AajayeN mere shahr e sukhan me tamaam log
Muzdaa! ke unki dar badari khatm hogayi
**********~*~**********
Husn ke zer e baar ho ke na ho!!
Ab mere dil me pyar ho ke na ho
Marg e amboh dekh aate hain!!!!
Aankh phir ashkbaar ho ke na ho
Karb e paiham se hogaya pat_thar
Ab ye seenaa figaar ho ke na ho
Phir yahi rut ho ain mumkin hai
Par tera intezaar ho ke na ho
Shakh e zatoon ke amiN hum hain
Shahr meN ishtehaar ho ke na ho
Daagh E dil hum dikhaye jate haiN
Us pe hai _ Sharmsaar ho ke na ho
She’r mere sanbhal kar rakhna!
Ab Ghazal mushkbaar ho ke na ho
**********~*~**********
Chhoti chhoti baat pe haNste rahte the
Beet gaye jo din! wo kitne achchhe the
Aj unheN dekha to aankheN bhar aayiN
Wo chehre jo khaab mahal me baste the
Jis se pyaar kareNge us ko paaleNge!!
Hum bhi kaisee bahki bateN karte the
Ab to apna ghar bhi yaad nahi aata
Pahli baar chhuta tha! kitna roye the
In haathoN se pat_thar bhi tore humne
Yahi kabhi teri zulf se khela karte the
**********~*~**********
Us ne hans kar hameN pukara kya
Ho gayaa phir se wo hamara kya?
Jashn sa shahr e jaaN me kaisa hai
Aa raha hai wo maah paaraa kya?
Aarzoo, khaab, aas, mahroomee
Hausla phir bhi hum ne haara kya
Meri aankheN udaas rahti hain
Ab na aaye ga wo dobara kya?
AsmaaN par nazar nahi aataa
Khogaya hai mera sitaaraa kya
Dard ki saltanat pe baithaa hai
Koi farma-N-rawaa dobaaraa kya
Ae dil e beqarar – rahne de!!!
Shahr e taskeen me hamara kya
Chaar aansu bahake sab chup hain
RayegaaN qatl hai hamara kya
**********~*~**********
Kabhi visaal kabhi intezaar karte hue
Kati hayaat yahi kar o baar karte hue
Wo apne zulm k fan me kamal e fan ki taraf
Hum unse rishtaa E dil ustawaar karte hue
Bachi jo umr to phir tere shahr aayeNge
Hum apne khoye hue pal shumar karte hue
Guzar na jaye ye tajdeed E ahd ka mausam
Masaalehat ki fiza saazgaar karte hue
ZameeN ko zard libaadaa pasand aata hua
Falak darakhtoN ko be barg o bar karte hue
**********~*~**********
Kab hawaa E sitam se darte thay
Khaahish E rang O boo jo karte thay
Khaahish E rang O boo jo karte thay
Us gali meN kabhi na khaak uRe
Be sabab jis se hum guzarte thay
Be sabab jis se hum guzarte thay
Uski yaadeN udaas karti thiN
Uski yaadoN se hi saNwarte thay
Uski yaadoN se hi saNwarte thay
Ek aisa bhi daur guzraa hai
Log aapas meN pyaar karte thay
Log aapas meN pyaar karte thay
Jaane kya mashGhalaa hai ab unka
Zindagi meN jo rang bharte thay
Zindagi meN jo rang bharte thay
**********~*~**********
Bohat achi shairi hay aur ……………joan alia se andaaz milta hay magar joan ki tarha yaas nahi balky faiz ki tarha umeed nazar aati hay . sab shair bohat achay hain magar kuch to bohat aalaa payay kay hain ……….
Kuchh faisle to honge mere ikhtiyaar ke !!!!
Aankhon se ye ghelaaf utar jaanaa chahiye
Jab mere paas us ke liye chhat talak nahi !
Ae uski aarzoo, tujhe mar jaanaa chaahiye
Aankhon se ye ghelaaf utar jaanaa chahiye
Jab mere paas us ke liye chhat talak nahi !
Ae uski aarzoo, tujhe mar jaanaa chaahiye
zzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz
Bhale hi chhaaoN na de, aasraa to detaa hai
Ye aarzu ka shajar hai, khazaaN raseedaa sahi
Inhi bujhi hui aankhoN me khaab aaye gaa
YaqiN na chhor, ye bimaar o shab gazeedaa sahi
Ye aarzu ka shajar hai, khazaaN raseedaa sahi
Inhi bujhi hui aankhoN me khaab aaye gaa
YaqiN na chhor, ye bimaar o shab gazeedaa sahi
Aarzoo, khaab, aas, mahroomee
Hausla phir bhi hum ne haara kya
Chaar aansu bahake sab chup hain
RayegaaN qatl hai hamara kya
Hausla phir bhi hum ne haara kya
Chaar aansu bahake sab chup hain
RayegaaN qatl hai hamara kya
No comments:
Post a Comment